Wednesday, August 25, 2010

Key msgs in Para 1 video part 2 - Quran


Jab hum kisi fan paarey ki tareef kar rahey hotey hein tau hamari tawajaah fankaar ki taraf bhi jati hai. Jab hum fan paarey ki tarref kar rahey hotey hein tau asal mein fankaar ki tareef kar rahey hotey hein. Kisi achey shair pe sir dhun rahey hotey hein tau asal mein shaair ki tareef ho rahi hoti hai. Kisi bohat achey novel ki tareef kar rahey hotey hein tau ye asal mein novel nigaar ki tareef ho rahi hoti hai.

a) Maloom ye howa ke duniya mein kahin hi jamal hai, ya kamal hai, ya husn hai, us husn pe wariftigi hai sub Allah ka banaya howa hai. Sub tareef har jamal ki aur har kamal ki sub Allah ko hi sazawar hai.

"Yahan ye bhi khayal rahey ke hum jo apni kaamyabiyon pe itratey phirtey hein, apne ilm pe, apne amal pe, apni naiki pe, apni eemandari pe, ye sub Allah ka ata karda hai, bandey ka kuch kamal nahin hai. "

Samjhaya ke tum ko fanparey ko samajhna ho tau fankaar ke hawaley samjha karo aur fankaar ko samjhna ho tau fanpaarey ke raste se jaya karo. Kisi ache shair ki khoobi ko samjhna ho tau shaair ke hawaley aur shaair ko samjhna ho tau shair ke hawaley se. Hamd is baat ki tareef hai ke kitna bara fankaar hai jis ne itni khoobsoorat duniya bana di hai.Mein jab sawat mein gaya tau msalsal aik hi shair ka wird karta raha

~ ik aks e natamaam pe aalam ko wajd hai...
kiya poochna hai aap ke husn o jamal ka

jis ne is qadar haseen kainaat bana di hai aur ye haseen kainaat Uska aik natamam sa aks hai, khud kitna haseen ho ga aur uski fann'e khalaaqi ka kiya kehna, yehi baat hai ke jab hum koi fan paara deikhtey hein, koi fanni takhleeq deikhtey hein uspe hum sir dhun'ne lagtey hein wa tabarak allah u ahsan ail khaleqeen...

b) bohat Ba Barkat hai woh zaat jo so se behtar tekhleeq karne wala hai. Tau alhumdulilah parhein bus, sub taareef Allah ke liye hai jo tamam jahanoon ka plane wala hai, ar Rahmaan ar Raheem, Rahmaan hai Raheem hai malik e yaum mid'din aur aadil hai.

 c) Us ne ye duniya jaza ke liye nahin banai, ye duniya us ne darul amal banaai hai da rul imtehaan banai hai, ye examination hall hai is mein number tau milein ge leikin poora poora nateeja us duniya mein ja ke nikle ga,

woh hai darul jaza (yaum mud deen), is duniya mein na tau kisi ko poori jaza mil sakti hai na saza mil sakti hai. Sochein na aik shaks ne aik qtl kiya, judge sahib ne usko saza-e-maut de di, doosra shaks hai us ne bomb blast mein sau aadmiyon ko qtl kar diya, magar usko bhi aik saza e maut de di, baqi ninaawey jo us ne qtl kiye uski saza kahan gai? Asal insaaf tau ye tha ke jis ne sau qtl kiye usey phir zinda karein phir maarein, phir zinda karein phir maarein. Sau aadmi us ne qtl kiye tau usko sau mautoon ka maza chakhna chahiye azizo ye is duniya mein mumkin nahin ye duniya, is liye ke ye duniya amal ki duniya hai, imtehaan ki duniya hai ye insaaf ki jagha nahin hai. Darul jaza nahin hai wo (darul jaza)aaye ga uska naam yaum ad deen hai aur Woh (Allah) hai malik yaum mid deen ka.

d) Maloom howa ke Allah ne aik nizaam banaya hai kainaat fitrat ka Usne paida kiya Rahmaan honey ki wajha se Raheem honey ki wajha se. Woh Rab hai paida karne ke baad mansooba bandi ke sath paalta chala ja raha hai, nibhaata chala ja raha hai leikin bhool mein mat raho woh aadil bhi hai, malik e yaum mid deen bhi hai Woh apne bandoon ke huqooq puri tarha de de ga chahey apne huqooq muaaf kar de, lekin bandon ke huqooq ko nain chorey ga, muaaf kara ke wahan poora poora insaaf karey ga.

Iske baad isi surah fatiha mein hum tauheed ka qaul o qaraar leitey hein.

e) Tawheed bunyadi taur p dau cheezon ka naam hai;
1) aik ye ke hum sirf Allah ki ibaadat karein
2) doosri ye ke hum sirf Allah se mangein; kehtey hein iiyaaka naa'boodoo wa iiyaaka nastaeen - aap ki aur hum sirf aapki ibaadat kartey hein, aur aap se aur sirf aap se hum madad chahtey hein - ibaadat apki aur sirf apki, isteaanat sirf aap se haath sirf apke samne phailaatey hein uske baad hum duaa mangtey hein eehde nas-siraatal mustaqeem - hamein seedhe raaste ki hidaayat aata farma dein us pur chalne ki taufeeq Ata Farma dein .

f) Yahan pehli martabey jab siraat ka lfz isteemaal kartey hein tau yahan "hidaayat e nazri" ya "theoretical truth" hum maangtey hein...phir aagey kehtey hein siraat aal lazina anamta aliahim un logon ka raasta jin pur aap ne inaam kiya - nabiyoon ka rasta, siidiqoon ka, shaheedoon ka, saleheen ka raasta - ghairil maghdoobe alihim - un logon ka rasta nahin, jin pe ke aap naraaz ho gaye, woh log jo ke khatam kar diye gaye...maloom howa ke yahan pe hum aik tau hidaayat e nazri mangtey hein aur aik hidaayat e amaali mangtey hein.

g) Hidayat e nazari jab hum mangtey hein is mein ehm baat ye hai ke hum siraate mustaqeem Allah taala se mangtey hein tau Allah taala foran jawab mein surah baqara ke andar kehtey hein

alif laam meen zalekal kitaab - ye aasmani muqadas kitaab hai- laraiba feeh jis mein koi shak nahin - hudallil mitaaqeen; hidaayat mang rahey they tau ye lo hidaayat hei un logoon ke liye jo hidaayat hasil karna chahtey hein. hum siraate mustaqeem aik martabey mangtey hein, tau woh hidaayat e nazari hai theoretical truth hai
 h) Phir kehtey hein siraat al lazina anamta aliahim  - aisey logon ka rasta bataiye jo jab siraate mustaqeem pe chaley tau uski wajhey se ap ne un pe naimatoon ki barish kar di - nabi , siddiq, shaheed , saleh log tau yahan hum hidaayat e amaali mang rahey hein.

Maloom howa ke is duniya mein isaan ki dau sab se bari zarooratein hein; aik hidaayat e nazari aur aik hidaayat e amali. Hidaayat e nazri tau kitaab ki shakal mein aa gai aur hidaayat e amali uski amali tafseer hai. Uski practical demonstration... 

No comments:

Post a Comment